Basic Terms Of C Programming Language in Hindi- Humne isse phale wali post me C language ki history or c programming features ke baare me jaana, iss post me c programming language ki kuch basic term like comment, variable identifiers in sabhi ko smajh lete taaki c language ko aasani se sikh sake.
C programming language me ase bahut se keyword or word hai jinko phale thoda smajh lete hai taaki baad me depth me jaane ke baad me aasani se inhe smajha jaa sake.
#What is Header files in C Programming language in Hindi?
C programming me header file ek file hoti hai jiksa extension .h hota hai jinko jarurat padne par c program me use liya jaa sake, basically C language me header file C ke compiler me kuch phale se store aur inme kuch predefined function hote hai.
Example of header file:-
- #include<stdio.h> (standard input output)
- #include<conio.h> (console input and output)
“#” yaha Ek preprocessor hota hai.
“Include” yaha Help karta hai header file ko link karne me program me.
#What is Comment in C program in Hindi?
comment basically user ko program samjhane ke liye hota hai taaki new user us program ko ache se samaj sake usme kya kuch de rakha hai. compiler comment ko read nhi karta unhe ignore kar deta hai.
types of comment in C language or example
- single line comment (// single line comment )
- multi line comment (/*multi line comment*/)
#What is variables in C Programming language in Hindi?
C programming language me variable wo hota hai jisme value store hoti hai, yaha koi bhi value store karwai ja sakti hai. C language me variable likhne ke liye kuch rule hote hai jaise ki numeric use me nahi liye jayege only alphabets ko he use me le sakte hai. aur jo bhi phale se name hai programs me like data types and keyword name to unse match nhi hona chaiye.
#What is Identifiers in C Programming language in Hindi?
Ek identifier Ek string hota hai jaisa ki hum jante hai computer ki memory me jo bhi data store hota hai uska alag se Ek memory address hota hai and memory me location de hui hoti hai, identifier usko identify karega isme kuch protocols hote hai like aap EK identifiers ko upar case me nhi likh sakte aur first word ko mathematics like 12344 asa kuch bhi nhi likh sakte hai.
- EX of right identifiers total
- EX of invalid identifiers x+2,1total, ()total.
#What is data type in C Programming language In Hindi?
Data type basically values or a set of value hota hai, C language me data ko store karne ke liye Different type ke data type hote hai. jaise ki niche table me show ho rahe hai-
Integer Ek data type hi hote hai, jab kisi user se value ko input karwa rahe hote hai to unko Ek address dena hota hai. datatype ke types hote hai int, long int, float, double, char, string etc.
Data type ko c language program me kuch iss trah likha jata hai.
- int= %d
- long int= %ld
- float= %f
- double= %ld
- char= %c
- string= %s
Share This Post With Your Friends
Subscribe Us On YouTube
See Also:
Learn C Programming Language in Hindi – C Language Full tutorial (Part-1)