Reliance Jio New Giga Fiber Broadband Online kaise Book & Register Kare jaane puri details Hindi me – Jio Giga Fiber Plan, Price – Hello friends aaj hum Jio Giga fiber Broadband plan ke baare me jaanege, kaise aap Jio Giga Fiber Broadband ko Book aur Register kar sakte hai & jio Giga fiber ke plan or price ki puri jaankari aapko yaha milne wali hai.
Reliance Jio New Giga Fiber Broadband Online kaise & Book Register Kare -Jio Giga Fiber Plan, Price
Reliance Jio ne jio giga fiber ko 15August 2018 me lunch kar diya tha agar aap bhi reliance jio giga fiber Broadband ko apne home par lagwana chahte hai toh jio ne kuch rule rakhe hai, Reliance jio ne kaha hai ki jis location se hume sabse jayda request aayegi waha jio giga fiber Broadband ko jaldi lagaya jayega. toh agar aap bhi jio giga fiber lagwan chahte hai toh aapko jayda se jayda apni location se request send karni hogi. chaliye step to step jaante hai hum reliance jio giga fiber Broadband ko kaise book kar sakte hai.
What is Jio Giga Fiber explain in hindi ?
Jio Giga Fiber kya hai- Jio Giga Fiber ek (FTTH) fiber to the home service hai jo user ko fix line ke through broadband service ( internet service) provide karwati hai. Iss service ko india me 1,100 city’s me lagaya jayega. Reliance Jio ne Giga fiber broadband service 15 august ko announced ki thi aur jio ne iss project me 250000 crore rupee invest kiya hai.
Jio giga fiber ki testing Hyderabad, Visakhapatnam, Chennai, Bangalore, Pune, Delhi en kuch bade city’s me chal rahi hai.
What is Optic Fiber?
Optic fiber kya hota hai- Humare India me 2 type se internet service provide hoti hai ek toh aap mobile me recharge karwate hai uske baad aap internet ko access karte hai jisse wireless service broadband kaha jata hai.
Dusri type ki service jo fix line service hai jaise cable, T1, FIOS, en technology ka use karke high speed internet home and offices tak access karwaya jata hai.
Toh ab Qustion yah aata hai optic fiber ku different hai oro se, optic fiber cable ko High Speed Data Transmission Medium bhi kaha jata hai. optic fiber cable ki capacities bahut jayda hoti hai baaki cable ke mukable isliye optic fiber cable se internet speed bahut jayda bhadne wali hai.
Optic fiber cable ek flexible cable hoti hai jisme bahut se wire plastic cover hote hai 1977 me iss cable ko banaya gaya tha. basically optic fiber two type ki hoti hai-
- Single-mode fiber (SMF)
- multi-mode fiber (MMF)
What is Speed of Jio Giga Fiber Broadband?
Jio giga fiber ki speed kitni hogi ye question bhi aapke man chal raha hoga toh agar jio ki abi tak high speed ki baat kare toh all over india me jio ki high downloading speed 7-8 Mbps or uploading 3.33 mbps hai. Jio Giga Fiber ki speed of course yaha bhadne wali hai kuki optic fiber cable yaha use ki jayegi aur official jio ne giga fiber ki speed 100 mbps batai hai but jaha tak jio giga fiber ki testing hui hai waha tak Downloading 95-97 mbps speed aur uploading 87-89 mbps speed aai hai. toh rady ho jao high speed internet use karne ke liye.
What is Jio Giga Fiber Broadband service Plan?
jio giga fiber ke plan kya rahege- aap sochte hoge ki high speed data mill raha hai toh plan toh costly he rahege but yaha aapko 3 month (90 days) ke liye bilkul free use karne ko milega jaise jio sim me mila tha.
Jio giga fiber broadband service ko 100 mbps ki speed se 3 month tak 100 gb per month ki limit me aap use kar sakte hai, but aapko 4500 rupee security deposit ke liye dene padege baad me aapko wapis kar diye jayege.
Jio ne jio giga fiber Broadband ke plans ko 3 type se honge-
- Jio Giga Fiber Speed-based plans.
- Jio Giga Fiber Volume-based plans.
- Jio Giga Fiber special offer broadband plans
- Reliance Jio Giga Fiber Speed-based monthly plans –expected
2. Reliance Jio Giga Fiber Volume-based monthly plans –expected
[table “31” not found /]
3. Reliance Jio Giga Fiber special offer broadband monthly plans –expected
Jio Giga TV
Jio company ke according jio GigaFiber broadband ke sath jio giga tv connect hone par aap wo sabhi TV show and channel full hd me dekh payege iske liye aapko alag se DISH ya DTH lagane ki bhi jarurat nahi hai. aap apne tv se direct calling kar paayege toh bahut hi maza aane wala hai matlab fast internet without DTH direct TV.
How to apply For Reliance Jio Giga Fiber Broadband service- Jio Giga fiber online Booking
Jio giga fiber broadband service ke liye apply kaise kare- Jio ne yah kahi bhi nahi kaha ki aap kaise apply karke broadband apne home pe lagwaa sakte hai but register kar sakte hai bahut he jald testing khtam hone ke baad market me ya jio store pe broadband aajyege after aap high speed data use kar payege, toh dekhte hai kitna jaldi jio apni giga fiber logo tak pucha paati hai.
Jio giga fiber broadband service ko Register karne liye aapko kuch steps follow karni hai-
- aapko jio ki official website https://gigafiber.jio.com/registration par jana hai.
- abi aapko yaha apna addres jaha aap rahte hai wo fell karna hai agar aap chahe toh side me map se bhi location select kar sakte hai, address select karne ke baad confirm par click kare.
- confirm par click karne ke baad aapko apni details jaise mobile number, Email-id, name etc ye sab kuch bharne ke baad aapko OTP aayega aur bas aapka kaam hogaya OTP verify karne ke baad aapko jab bhi jio giga fiber ke broadband lagne start honge toh aapko massage ya call aajyega.
Toh Iss post me humne “Reliance Jio New Giga Fiber Broadband Online kaise Book & Register Kare – Jio Giga Fiber Plan, Price” ke baare me jana agar isse related ko bhi news yaa update aata hai toh mai wo update iss post me include karduga.
See also:
- Wi-Fi Hack Karne Ke Liye Best Tools
- Undeletable Files Folders ko Delete Kaise Kare
- cryptocurrency explain in hindi
- 10 Mobile Hacks Turn Your Android Phone into a Hacking Machine
- Top 4 future technology upcoming -Hindi